Wednesday, August 27, 2014

Wednesday, August 20, 2014

Monday, August 18, 2014

In der Kürze :)

Color Record No. 57, Side B:


and this short beauty  J

yaar ‘ajab tarH nigah kar gayaa
dekhna vuh dil meN jagah kar gayaa

taNg qabaa’ii ka samaaN yaar kii
pairahan-e Ghuncha ko tah kar gayaa

jaana hai is bazm se aayaa to kyaa
ko’i ghaRii go kih tu rah kar gayaa

vasf-e Khat o Khaal meN KhuubaaN ke :Miir:
naamah-e a’maal siyah kar gayaa


Wednesday, August 13, 2014

Sunday, August 10, 2014

A famous Ghazal :)

Color Record No. 53, Side B:


and this famous one  J

jo is shor se :Miir: rotaa rahe gaa
to ham saaya kaahe ko sotaa rahe gaa

main vuh rone vaalaa jahaaN se chalaa huuN
jise abr har saal rotaa rahe gaa

mujhe kaam rone se aksar hai naasiH
tu kab tak mire muNh ko dhotaa rahe gaa

bas ai giryah aaNkheN tirii kyaa nahiiN haiN
kahaaN tak jahaaN ko Dubotaa rahe gaa

mire dil ne vuh naala paidaa kiyaa hai
jaras ke bhi jo hosh khotaa rahe gaa

tu yuuN gaaliyaaN Ghair ko shauq se de
hameN kuchh kahe gaa to hotaa rahe gaa

bas ai :Miir: miZhgaaN se poNchh aaNsu’oN ko
tu kab tak yih motii pirotaa rahe gaa


Saturday, August 9, 2014

Back to Miir :)

Color Record No. 53, Side A:


and another Miir Ghazal  J

aaNkhoN meN jii miraa hai idhar yaar dekhnaa
‘aashiq ka apne aaKhirii diidaar dekhnaa

kaisaa chaman kih ham se asiiroN ko man’a hai
chaak-e qafas se baaGh ki diivaar dekhnaa

aaNkheN churaaiyo nah Tuk abr-e bahaar se
merii taraf bhi diidah-e KhuuN baar dekhnaa

ai ham safar nah aabile ko pahuNche chashm-e tar
laagaa hai mere paa’oN meN aa Khaar dekhnaa

honaa nah chaar chashm dil us zulm peshah se
hushyaar ziinhaar Khabar daar dekhnaa

sayyaad dil hai daaGh-e judaa’ii se rashk-e baaGh
tujh ko bhi ho nasiib yih gul zaar dekhnaa

gar zamzamah yihii hai ko’ii din to ham safiir
is fasl hii meN ham ko giriftaar dekhnaa

bulbul hamaare gul pah nah gustaaKh kar nazar
ho jaa’e gaa gale ka kahiiN haar dekhnaa

shaayad hamaari Khaak se kuchh ho bhi ai nasiim
Ghirbaal kar ke kuuchah-e dil daar dekhnaa

us Khvush nigah ke ‘ishq se parhez kiijo :Miir:
jaataa hei le ke jii hi yih aazaar dekhnaa


Saturday, August 2, 2014

Miir on the beggars of Delhi :)

Color Record No. 49, Side B:


and a beauty from Miir  J

har dam taraf hai vaise mizaaj-e karaKht kaa
TukRaa miraa jigar hai kaho sang-e saKht kaa

sabzaan-e taaza ruu ki jahaaN jalva gaah thii
ab dekhiye to vaaN nahiN saayah daraKht kaa

juuN barg haa-e laala pareshaan ho gayaa
mazkuur kyaa hai ab jigar-e laKht laKht kaa

dillii meN aaj bhiik bhi miltii nahiiN unheN
thaa kal talak dimaaGh jinheN taaj o taKht kaa

Khaak-e siyah se maiN jo bar aa bar huvaa huuN :Miir:
saayah paRaa hai mujh pah kasuu tiira baKht kaa