Saturday, August 9, 2014

Back to Miir :)

Color Record No. 53, Side A:


and another Miir Ghazal  J

aaNkhoN meN jii miraa hai idhar yaar dekhnaa
‘aashiq ka apne aaKhirii diidaar dekhnaa

kaisaa chaman kih ham se asiiroN ko man’a hai
chaak-e qafas se baaGh ki diivaar dekhnaa

aaNkheN churaaiyo nah Tuk abr-e bahaar se
merii taraf bhi diidah-e KhuuN baar dekhnaa

ai ham safar nah aabile ko pahuNche chashm-e tar
laagaa hai mere paa’oN meN aa Khaar dekhnaa

honaa nah chaar chashm dil us zulm peshah se
hushyaar ziinhaar Khabar daar dekhnaa

sayyaad dil hai daaGh-e judaa’ii se rashk-e baaGh
tujh ko bhi ho nasiib yih gul zaar dekhnaa

gar zamzamah yihii hai ko’ii din to ham safiir
is fasl hii meN ham ko giriftaar dekhnaa

bulbul hamaare gul pah nah gustaaKh kar nazar
ho jaa’e gaa gale ka kahiiN haar dekhnaa

shaayad hamaari Khaak se kuchh ho bhi ai nasiim
Ghirbaal kar ke kuuchah-e dil daar dekhnaa

us Khvush nigah ke ‘ishq se parhez kiijo :Miir:
jaataa hei le ke jii hi yih aazaar dekhnaa


No comments:

Post a Comment