Sunday, August 10, 2014

A famous Ghazal :)

Color Record No. 53, Side B:


and this famous one  J

jo is shor se :Miir: rotaa rahe gaa
to ham saaya kaahe ko sotaa rahe gaa

main vuh rone vaalaa jahaaN se chalaa huuN
jise abr har saal rotaa rahe gaa

mujhe kaam rone se aksar hai naasiH
tu kab tak mire muNh ko dhotaa rahe gaa

bas ai giryah aaNkheN tirii kyaa nahiiN haiN
kahaaN tak jahaaN ko Dubotaa rahe gaa

mire dil ne vuh naala paidaa kiyaa hai
jaras ke bhi jo hosh khotaa rahe gaa

tu yuuN gaaliyaaN Ghair ko shauq se de
hameN kuchh kahe gaa to hotaa rahe gaa

bas ai :Miir: miZhgaaN se poNchh aaNsu’oN ko
tu kab tak yih motii pirotaa rahe gaa


No comments:

Post a Comment