Friday, July 25, 2014

A slightly longer Ghazal

The B-side of No. 45:


and a masterpiece from Miir  J

samjhe the :Miir: ham kih yih naasuur kam huvaa
phir un dinoN meN diidah-e KhuuN-baar nam huvaa

aa’e ba-raNg-e abr-e ‘araq naak tum idhar
Hairaan huuN kih aaj kidhar ko karam huvaa

tujh bin sharaab pii ke mu’e sab tire Kharaab
saaqii ba-Ghair tere unheN jam sam huvaa

kaafir hamaare dil ki nah puuchh apne ‘ishq meN
bait a’l Haraam thaa so vuh bait a’l sanam huvaa

*

Khaanah Kharaab kis ka kiyaa teri chashm ne
thaa kaun yuuN jise tu nasiib aik dam huvaa

talvaar kis ke Khuun meN sar Duub hai tirii
yih kis ajal rasiida ke ghar par sitam huvaa

*

aa’ii nazar jo gor sulemaaN ki aik roz
kuuche par us mazaar ke thaa yih raqam huvaa

k-ai sar kashaaN jahaan meN kheNchaa tha maiN bhi sar
paayaan-e kaar mor ki Khaak-e qadam huvaa

*

afsos kii bhi chashm thi un se Khilaaf-e ‘aql
baar-e ‘ilaaqa se tu ‘abas pusht Kham huvaa

ahl-e jahaaN haiN saare tire jiite jii talak
puuchheN ge bhii nah baat jahaaN tuu ‘adam huvaa

kyaa kyaa ‘aziiz dost mile :Miir: Khaak meN
naadaan yaaN kasuu ka kasuu ko bhi Gham huvaa


No comments:

Post a Comment