Saturday, July 5, 2014

Iqbal

Color Record No. 35, Side B:


The Dryden is 27 pages long!!  While I’m still working on that, here’s an Urdu Ghazal  J

aflaak se aate haiN naaloN ka javaab aaKhir

By Sir Muhammad Iqbal

aflaak se aate haiN                  naaloN ka javaab aaKhir
karte haiN Khitaab aaKhir      uThte haiN Hijaab aaKhir

aHvaal-e muHabbat meN       kuchh farq nahiiN aisaa
soz o tab o taab avval              soz o tab o taab aaKhir

maiN tujh ko bataataa huuN   taqdiir-e umam kyaa hai
shamshiir o sinaaN avval         taa’uus o rabaab aaKhir

maiKhaanah-e yurup ke          dastuur niraale haiN
laate haiN suruur avval           dete haiN sharaab aaKhir

kyaa dabdabah-e naadir           kyaa shaukat-e taimuurii
ho jaate haiN sab daftar          Gharq-e mai-e naab aaKhir

Khalvat ki ghaRii guzrii           jalvat ki ghaRii aa’ii
chhuTne ko hai bijlii se           aaGhosh-e suHaab aaKhir

thaa zabt bahut mushkil          us sail-e ma’aanii kaa
kah Daale qalandar ne             asraar-e kitaab aaKhir



No comments:

Post a Comment